rabt hai mujhko charaagh-e-shaam se | रब्त है मुझको चराग़-ए-शाम से

  - Ankur Mishra

rabt hai mujhko charaagh-e-shaam se
thak gaya hoon rahbari ke kaam se

laut aaunga agar awaaz do
ishq hai mujhko bhi mere naam se

faad kar tukdon mein lautaya mujhe
khat kisi ne vo bade aaraam se

aadatan usko bhula paaya nahin
isliye darta hoon main anjaam se

hai buri aadat ye lekin kya karein
ishq hai to hai kinaar-e-baam se

रब्त है मुझको चराग़-ए-शाम से
थक गया हूँ रहबरी के काम से

लौट आऊँगा अगर आवाज़ दो
इश्क़ है मुझको भी मेरे नाम से

फाड़ कर टुकड़ों में लौटाया मुझे
ख़त किसी ने वो बड़े आराम से

आदतन उसको भुला पाया नहीं
इसलिए डरता हूँ मैं अंजाम से

है बुरी आदत ये लेकिन क्या करें
इश्क़ है तो है किनार-ए-बाम से

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari