band khidki se khaali makaan dekhte hain miyaan | बंद खिड़की से ख़ाली मकाँ देखते हैं मियाँ

  - Ankur Mishra

band khidki se khaali makaan dekhte hain miyaan
is dhuen mein vo khaali dhuaan dekhte hain miyaan

samt baithe hain vo aaine ke magar purza
ham sadaaon ke bheege nishaan dekhte hain miyaan

baad bharne ke zakhamon ke ai hamnasheen sarbasar
dil pe marham ke gehre nishaan dekhte hain miyaan

bekhbar hain vo apne hi saaye se lekin sabhi
aaine ke use darmiyaan dekhte hain miyaan

बंद खिड़की से ख़ाली मकाँ देखते हैं मियाँ
इस धुएँ में वो ख़ाली धुआँ देखते हैं मियाँ

सम्त बैठे हैं वो आइने के मगर जा-ब-जा
हम सदाओं के भीगे निशाँ देखते हैं मियाँ

बाद भरने के ज़ख़्मों के ऐ हम-नशीं सर-ब-सर
दिल पे मरहम के गहरे निशाँ देखते हैं मियाँ

बे-ख़बर हैं वो अपने ही साये से लेकिन सभी
आइने के उसे दरमियाँ देखते हैं मियाँ

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari