kar ke khud se wafa bhi dikha zindagi | कर के ख़ुद से वफ़ा भी दिखा ज़िंदगी - Ankur Mishra

kar ke khud se wafa bhi dikha zindagi
naam apna mujhe bhi bata zindagi

phoot jaaye na chhala kahin chhoone se
aaina saamne se hata zindagi

muddaton baad jaaga hoon main neend se
ro padunga na mujhko hansa zindagi

harf-dar-harf padhta hoon jaanaan tujhe
lafz-dar-lafz apna bana zindagi

be-sabab hi nahin yaad aaya bashar
hai meri ismein thodi khata zindagi

कर के ख़ुद से वफ़ा भी दिखा ज़िंदगी
नाम अपना मुझे भी बता ज़िंदगी

फूट जाए न छाला कहीं छूने से
आइना सामने से हटा ज़िंदगी

मुद्दतों बाद जागा हूँ मैं नींद से
रो पड़ूँगा न मुझको हँसा ज़िंदगी

हर्फ़-दर-हर्फ़ पढ़ता हूँ जानाँ तुझे
लफ़्ज़-दर-लफ़्ज़ अपना बना ज़िंदगी

बे-सबब ही नहीं याद आया बशर
है मिरी इसमें थोड़ी ख़ता ज़िंदगी

- Ankur Mishra
0 Likes

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari