aisa koii iraada nahin tha
usse koii bhi vaada nahin tha
khaamkhaan hi fana ho gaye ham
ishq itna ziyaada nahin tha
ham bhi ro lete hokar juda par
ghar mein koii isaada nahin tha
vo thi shehzaadi mahlon kii lekin
main koii shahzaada nahin tha
us ko kyun rokta jaane se main
us ko mujhse ifaada nahin tha
ऐसा कोई इरादा नहीं था
उससे कोई भी वादा नहीं था
ख़ामख़ाँ ही फ़ना हो गए हम
इश्क़ इतना ज़ियादा नहीं था
हम भी रो लेते होकर जुदा पर
घर में कोई इसादा नहीं था
वो थी शहज़ादी महलों की लेकिन
मैं कोई शाहज़ादा नहीं था
उस को क्यों रोकता जाने से मैं
उस को मुझसे इफ़ादा नहीं था
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari