aankh ab thak chuki hai ye ro ke
daagh yaadon ke uski vo dho ke
baaki hai ab bhi thodi mohabbat
kaash dekhe vo palkein bhigo ke
umr bhar ka nahin saath lekin
vo mile to mile mera ho ke
raasta ghar ka ab bhi wahi hai
dekho tum bhi kabhi khud ko kho ke
le chalo saath mujhko bhi apne
apni zulfon mein mujhko piro ke
आँख अब थक चुकी है ये रो के
दाग़ यादों के उसकी वो धो के
बाक़ी है अब भी थोड़ी मोहब्बत
काश देखे वो पलकें भिगो के
उम्र भर का नहीं साथ लेकिन
वो मिले तो मिले मेरा हो के
रास्ता घर का अब भी वही है
देखो तुम भी कभी ख़ुद को खो के
ले चलो साथ मुझको भी अपने
अपनी ज़ुल्फ़ों में मुझको पिरो के
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari