dil ko seene se apne lagaaya nahin
naam uska kahin se mitaaya nahin
chot khaate rahe umr bhar saanson se
zindagi ko magar aazmaaya nahin
toot jaana hai fitrat mein uski magar
aaine ne kabhi kuchh chhupaaya nahin
haal poocha hai usne mera is tarah
jis tarah haal usko bataaya nahin
shukr hai hoon main zinda abhi bhi bashar
hai ghaneemat jo vo yaad aaya nahin
दिल को सीने से अपने लगाया नहीं
नाम उसका कहीं से मिटाया नहीं
चोट खाते रहे उम्र भर साँसों से
ज़िंदगी को मगर आज़माया नहीं
टूट जाना है फ़ितरत में उसकी मगर
आइने ने कभी कुछ छुपाया नहीं
हाल पूछा है उसने मिरा इस तरह
जिस तरह हाल उसको बताया नहीं
शुक्र है हूँ मैं ज़िंदा अभी भी बशर
है ग़नीमत जो वो याद आया नहीं
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari