khatm ye faasle kar do ab | ख़त्म ये फ़ासले कर दो अब - Ankur Mishra

khatm ye faasle kar do ab
honthon par hont ye dhar do ab

jaane kab milna ho kya pata
shaamen yaadon se ye bhar do ab

muddaton baad to aaye ho
naam raatein mere kar do ab

kab se baitha hoon raahon mein main
sapnon ka hi koii ghar do ab

yaadein ye jo sataati hain ab
yaadon se in rihaa kar do ab

chahe le lo ye tum jaan bhi
pehle khud se juda kar do ab

ख़त्म ये फ़ासले कर दो अब
होंठों पर होंठ ये धर दो अब

जाने कब मिलना हो क्या पता
शामें यादों से ये भर दो अब

मुद्दतों बाद तो आए हो
नाम रातें मेरे कर दो अब

कब से बैठा हूँ राहों में मैं
सपनों का ही कोई घर दो अब

यादें ये जो सताती हैं अब
यादों से इन रिहा कर दो अब

चाहे ले लो ये तुम जान भी
पहले ख़ुद से जुदा कर दो अब

- Ankur Mishra
0 Likes

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari