parda hai kyun itna rukh-e-mehtaab par
pahra hai kyun itna sanam is khwaab par
ab to mera bhi haal tum sa hi hai phir
hairaan ho kyun ab gauhar-e-be-aab par
ik umr lagti hai use paane mein jo
hai chhod kar baitha yaqeen hi khwaab par
jaane use kisne kaha hai bewafa
kisne chalaai naav ye sailaab par
maana hain tode dil kai ankur magar
phir bhi yaqeen hai mujhko us ahbaab par
पर्दा है क्यों इतना रुख़-ए-महताब पर
पहरा है क्यों इतना सनम इस ख़्वाब पर
अब तो मिरा भी हाल तुम सा ही है फिर
हैराँ हो क्यों अब गौहर-ए-बे-आब पर
इक उम्र लगती है उसे पाने में जो
है छोड़ कर बैठा यक़ीं ही ख़्वाब पर
जाने उसे किसने कहा है बेवफ़ा
किसने चलाई नाव ये सैलाब पर
माना हैं तोड़े दिल कई 'अंकुर' मगर
फिर भी यक़ीं है मुझको उस अहबाब पर
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari