qaid-e-qafas se main kahaan anjaan hoon | क़ैद-ए-क़फ़स से मैं कहाँ अंजान हूँ

  - Ankur Mishra

qaid-e-qafas se main kahaan anjaan hoon
sayyaad hoon sayyaad kii pehchaan hoon

har raat aati hai adab se ghar mere
main aadmi hokar ke bhi insaan hoon

ho ishq mujhse to chale aana magar
main pyaar mein thoda sa be-imaan hoon

maana hoon main kaafir yahan sabke liye
lekin main us patthar ka to armaan hoon

palte hain jaane khwaab kitne aankhon mein
phir bhi main moorat ek bas bejaan hoon

क़ैद-ए-क़फ़स से मैं कहाँ अंजान हूँ
सय्याद हूँ सय्याद की पहचान हूँ

हर रात आती है अदब से घर मिरे
मैं आदमी होकर के भी इंसान हूँ

हो इश्क़ मुझसे तो चले आना मगर
मैं प्यार में थोड़ा सा बे-ईमान हूँ

माना हूँ मैं काफ़िर यहाँ सबके लिए
लेकिन मैं उस पत्थर का तो अरमान हूँ

पलते हैं जाने ख़्वाब कितने आँखों में
फिर भी मैं मूरत एक बस बेजान हूँ

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari