kaash vo baad-e-sehr aaye
chaand dekhoon vo nazar aaye
sookh jaaye ashk aankhon mein
daagh daaman pe ubhar aaye
ho na jismoon kii talab khaali
kuchh duaon mein asar aaye
is qadar toote ye dil jaanaan
yaad mujhko mera ghar aaye
saans lene se bashar pehle
zinda rahne ka hunar aaye
काश वो बाद-ए-सहर आए
चाँद देखूँ वो नज़र आए
सूख जाए अश्क आँखों में
दाग़ दामन पे उभर आए
हो न जिस्मों की तलब ख़ाली
कुछ दुआओं में असर आए
इस क़दर टूटे ये दिल जानाँ
याद मुझको मेरा घर आए
साँस लेने से बशर पहले
ज़िंदा रहने का हुनर आए
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari