paon uthte nahin aur chal padte hain | पाॅंव उठते नहीं और चल पड़ते हैं

  - Ankur Mishra

paon uthte nahin aur chal padte hain
ham akela hi ghar se nikal padte hain

saath bahte hain ab in hawaon ke ham
log apni zameen pe fisal padte hain

phir kiya hi nahin ishq hamne kabhi
naam se ishq ke par machal padte hain

raaz rakhte hain seene mein saare magar
raat hote hi jugnoo sa jal padte hain

पाॅंव उठते नहीं और चल पड़ते हैं
हम अकेले ही घर से निकल पड़ते हैं

साथ बहते हैं अब इन हवाओं के हम
लोग अपनी ज़मीं पे फिसल पड़ते हैं

फिर किया ही नहीं इश्क़ हमनें कभी
नाम से इश्क़ के पर मचल पड़ते हैं

राज़ रखते हैं सीने में सारे मगर
रात होते ही जुगनू सा जल पड़ते हैं

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari