mujhmein vo aabaad rehta hai
is tarah vo yaad rehta hai
door hai beshak vo mujhse par
hothon pe ik swaad rehta hai
chhodaa hai jab se vo ghar usne
tanhaa tab se baab rehta hai
dekhoon kaise aaina main ab
aankhon mein sailaab rehta hai
ishq karne waala har koii
yaar kyun barbaad rehta hai
chhod di hai maine may phir bhi
kyun nasha-e-aab rehta hai
मुझमें वो आबाद रहता है
इस तरह वो याद रहता है
दूर है बेशक़ वो मुझसे पर
होठों पे इक स्वाद रहता है
छोड़ा है जब से वो घर उसने
तन्हा तब से बाब रहता है
देखूँ कैसे आइना मैं अब
आँखों में सैलाब रहता है
इश्क़ करने वाला हर कोई
यार क्यों बर्बाद रहता है
छोड़ दी है मैंने मय फिर भी
क्यों नशा-ए-आब रहता है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari