aise to ab sambhaala nahin jaayega
aur khud ko uchhaala nahin jaayega
kar chuka hoon iraada mohabbat ka main
maut ko aur taala nahin jaayega
jism to jism hai kaanch ka ik badan
zehan se bhi ye chhala nahin jaayega
theek hai khaali hain haath mere magar
toda koii bhi taalaa nahin jaayega
umr bhar raah dekhi hai jiski use
dil se yun hi nikala nahin jaayega
khwaab sach ho na ho mere ankur magar
us pe ilzaam daala nahin jaayega
ऐसे तो अब सँभाला नहीं जाएगा
और ख़ुद को उछाला नहीं जाएगा
कर चुका हूँ इरादा मोहब्बत का मैं
मौत को और टाला नहीं जाएगा
जिस्म तो जिस्म है काँच का इक बदन
ज़ेहन से भी ये छाला नहीं जाएगा
ठीक है ख़ाली हैं हाथ मेरे मगर
तोड़ा कोई भी ताला नहीं जाएगा
उम्र भर राह देखी है जिसकी उसे
दिल से यूँ ही निकाला नहीं जाएगा
ख़्वाब सच हो न हो मेरे 'अंकुर' मगर
उस पे इल्ज़ाम डाला नहीं जाएगा
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari