mohabbat aur vo bhi be-adab ho
koii aisa nahin jiski talab ho
andhera hai bahut maana abhi par
zaroori to nahin qaateel ye shab ho
karein aakhir tamannaa koii kyun ham
ye dil bechain aakhir kyun ahab ho
nazar sab kar rahi hai jab bayaan ab
labon se shor kyun phir be-sabab ho
nahin apna koii ankur magar ik
mukammal khwaab hi jaana vo ab ho
मोहब्बत और वो भी बे-अदब हो
कोई ऐसा नहीं जिसकी तलब हो
अँधेरा है बहुत माना अभी पर
ज़रूरी तो नहीं क़ातिल ये शब हो
करें आख़िर तमन्ना कोई क्यों हम
ये दिल बेचैन आख़िर क्यों अहब हो
नज़र सब कर रही है जब बयाँ अब
लबों से शोर क्यों फिर बे-सबब हो
नहीं अपना कोई 'अंकुर' मगर इक
मुकम्मल ख़्वाब ही जाना वो अब हो
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari