phir wahi dekho manzar nazar aaya hai | फिर वही देखो मंज़र नज़र आया है

  - Ankur Mishra

phir wahi dekho manzar nazar aaya hai
pyaasa kitna samandar nazar aaya hai

ham lagaaye the ummeed jisse yahan
paas uske hi khanzar nazar aaya hai

chhod aaya tha vo rasta kab ka main to
phir vo kyun mere andar nazar aaya hai

barson bhatka hoon main khud ke andar bashar
phir kahin vo qalander nazar aaya hai

फिर वही देखो मंज़र नज़र आया है
प्यासा कितना समंदर नज़र आया है

हम लगाए थे उम्मीद जिससे यहाँ
पास उसके ही खंज़र नज़र आया है

छोड़ आया था वो रस्ता कब का मैं तो
फिर वो क्यों मेरे अंदर नज़र आया है

बरसों भटका हूँ मैं ख़ुद के अंदर बशर
फिर कहीं वो क़लंदर नज़र आया है

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari