sapnon ka vo yahan ghar liye firte hain | सपनों का वो यहाँ घर लिए फिरते हैं

  - Ankur Mishra

sapnon ka vo yahan ghar liye firte hain
aankhon mein jo samandar liye firte hain

dastaan khatm ho jaani hai sabki par
zakhm sab gehre andar liye firte hain

muddaton baad bhi koii lautaa nahin
khaamkhaa aankhon ko tar liye firte hain

ek arsa hua khud se mujhko mile
log kyun shehar mein ghar liye firte hain

jaane kab kaise mil jaaye koii yahan
ab yahi dil mein ham dar liye firte hain

सपनों का वो यहाँ घर लिए फिरते हैं
आँखों में जो समंदर लिए फिरते हैं

दास्ताँ ख़त्म हो जानी है सबकी पर
ज़ख़्म सब गहरे अंदर लिए फिरते हैं

मुद्दतों बाद भी कोई लौटा नहीं
ख़ामख़ा आँखों को तर लिए फिरते हैं

एक अरसा हुआ ख़ुद से मुझको मिले
लोग क्यों शहर में घर लिए फिरते हैं

जाने कब कैसे मिल जाए कोई यहाँ
अब यही दिल में हम डर लिए फिरते हैं

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari