uski ulfat ka haqdaar tha main | उसकी उल्फ़त का हक़दार था मैं

  - Ankur Mishra

uski ulfat ka haqdaar tha main
jiski saanson ka aadhaar tha main

aata tha roz milne vo mujhse
neev kii uski deewaar tha main

kaise karta dagaa phir main usse
jiski khaatir hi beemaar tha main

barson bhatka hoon seharaaon mein main
jab ki dariya ke us paar tha main

उसकी उल्फ़त का हक़दार था मैं
जिसकी साँसों का आधार था मैं

आता था रोज़ मिलने वो मुझसे
नींव की उसकी दीवार था मैं

कैसे करता दग़ा फिर मैं उससे
जिसकी ख़ातिर ही बीमार था मैं

बरसों भटका हूँ सहराओं में मैं
जब कि दरिया के उस पार था मैं

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari