aadmi aadmi ka khareedaar hai | आदमी आदमी का ख़रीदार है - Ankur Mishra

aadmi aadmi ka khareedaar hai
duniya duniya nahin ek bazaar hai

baithe hain haath mein sab taraazu liye
kaun kis ka yahan pe madadgaar hai

roz uthta hai saahib janaaza naya
shehar ka shehar hi jaise beemaar hai

lab koii kholta hi nahin kya karein
zindagi jaan lene ko taiyaar hai

dost hai ek dushman sareekhe mera
muddaton se bashar jo mera yaar hai

आदमी आदमी का ख़रीदार है
दुनिया दुनिया नहीं एक बाज़ार है

बैठे हैं हाथ में सब तराज़ू लिए
कौन किस का यहाँ पे मददगार है

रोज़ उठता है साहिब जनाज़ा नया
शहर का शहर ही जैसे बीमार है

लब कोई खोलता ही नहीं क्या करें
ज़िंदगी जान लेने को तैयार है

दोस्त है एक दुश्मन सरीखे मिरा
मुद्दतों से बशर जो मिरा यार है

- Ankur Mishra
0 Likes

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari