jugnoo guhar charaagh ujaale to de gaya | जुगनू गुहर चराग़ उजाले तो दे गया

  - Mohsin Naqvi

jugnoo guhar charaagh ujaale to de gaya
vo khud ko dhoondhne ke hawaale to de gaya

ab is se badh ke kya ho viraasat faqeer ki
bacchon ko apni bheek ke pyaale to de gaya

ab meri soch saaye ki soorat hai us ke gird
main bujh ke apne chaand ko haale to de gaya

shaayad ki fasl-e-sang-zani kuchh qareeb hai
vo khelne ko barf ke gaale to de gaya

ahl-e-talab pe us ke liye farz hai dua
khairaat mein vo chand nivaale to de gaya

mohsin use qaba ki zaroorat na thi magar
duniya ko roz-o-shab ke doshaale to de gaya

जुगनू गुहर चराग़ उजाले तो दे गया
वो ख़ुद को ढूँडने के हवाले तो दे गया

अब इस से बढ़ के क्या हो विरासत फ़क़ीर की
बच्चों को अपनी भीक के प्याले तो दे गया

अब मेरी सोच साए की सूरत है उस के गिर्द
मैं बुझ के अपने चाँद को हाले तो दे गया

शायद कि फ़स्ल-ए-संग-ज़नी कुछ क़रीब है
वो खेलने को बर्फ़ के गाले तो दे गया

अहल-ए-तलब पे उस के लिए फ़र्ज़ है दुआ
ख़ैरात में वो चंद निवाले तो दे गया

'मोहसिन' उसे क़बा की ज़रूरत न थी मगर
दुनिया को रोज़-ओ-शब के दोशाले तो दे गया

  - Mohsin Naqvi

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari