labon pe harf-e-rajaz hai zirh utaar ke bhi | लबों पे हर्फ़-ए-रजज़ है ज़िरह उतार के भी - Mohsin Naqvi

labon pe harf-e-rajaz hai zirh utaar ke bhi
main jashn-e-fatah manaata hoon jang haar ke bhi

use lubha na saka mere ba'ad ka mausam
bahut udaas laga khaal-o-khud sanwaar ke bhi

ab ek pal ka taghaaful bhi sah nahin sakte
hum ahl-e-dil kabhi aadi the intizaar ke bhi

vo lamha bhar ki kahaani ki umr bhar mein kahi
abhi to khud se taqaze the ikhtisaar ke bhi

zameen odh li hum ne pahunch ke manzil par
ki hum pe qarz the kuch gard-e-rahguzaar ke bhi

mujhe na sun mere be-shakl ab dikhaai to de
main thak gaya hoon fazaa mein tujhe pukaar ke bhi

meri dua ko palatna tha phir udhar mohsin
bahut ujaad the manzar ufuq se paar ke bhi

लबों पे हर्फ़-ए-रजज़ है ज़िरह उतार के भी
मैं जश्न-ए-फ़तह मनाता हूँ जंग हार के भी

उसे लुभा न सका मेरे बा'द का मौसम
बहुत उदास लगा ख़ाल-ओ-ख़द सँवार के भी

अब एक पल का तग़ाफ़ुल भी सह नहीं सकते
हम अहल-ए-दिल कभी आदी थे इंतिज़ार के भी

वो लम्हा भर की कहानी कि उम्र भर में कही
अभी तो ख़ुद से तक़ाज़े थे इख़्तिसार के भी

ज़मीन ओढ़ ली हम ने पहुँच के मंज़िल पर
कि हम पे क़र्ज़ थे कुछ गर्द-ए-रहगुज़ार के भी

मुझे न सुन मिरे बे-शक्ल अब दिखाई तो दे
मैं थक गया हूँ फ़ज़ा में तुझे पुकार के भी

मिरी दुआ को पलटना था फिर उधर 'मोहसिन'
बहुत उजाड़ थे मंज़र उफ़ुक़ से पार के भी

- Mohsin Naqvi
3 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari