bichhad ke mujh se ye mashghala ikhtiyaar karna | बिछड़ के मुझ से ये मश्ग़ला इख़्तियार करना - Mohsin Naqvi

bichhad ke mujh se ye mashghala ikhtiyaar karna
hawa se darna bujhe charaagon se pyaar karna

khuli zameenon mein jab bhi sarson ke phool mahke
tum aisi rut mein sada mera intizaar karna

jo log chahein to phir tumhein yaad bhi na aayein
kabhi kabhi tum mujhe bhi un mein shumaar karna

kisi ko ilzaam-e-bewafaai kabhi na dena
meri tarah apne aap ko sogwaar karna

tamaam wa'de kahaan talak yaad rakh sakoge
jo bhool jaayen vo ahad bhi ustuvaar karna

ye kis ki aankhon ne baadlon ko sikha diya hai
ki seena-e-sang se ravaan aabshaar karna

main zindagi se na khul saka is liye bhi mohsin
ki bahte paani pe kab talak e'tibaar karna

बिछड़ के मुझ से ये मश्ग़ला इख़्तियार करना
हवा से डरना बुझे चराग़ों से प्यार करना

खुली ज़मीनों में जब भी सरसों के फूल महकें
तुम ऐसी रुत में सदा मिरा इंतिज़ार करना

जो लोग चाहें तो फिर तुम्हें याद भी न आएँ
कभी कभी तुम मुझे भी उन में शुमार करना

किसी को इल्ज़ाम-ए-बेवफ़ाई कभी न देना
मिरी तरह अपने आप को सोगवार करना

तमाम वा'दे कहाँ तलक याद रख सकोगे
जो भूल जाएँ वो अहद भी उस्तुवार करना

ये किस की आँखों ने बादलों को सिखा दिया है
कि सीना-ए-संग से रवाँ आबशार करना

मैं ज़िंदगी से न खुल सका इस लिए भी 'मोहसिन'
कि बहते पानी पे कब तलक ए'तिबार करना

- Mohsin Naqvi
1 Like

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari