ab ke baarish mein to ye kaar-e-ziyaan hona hi tha | अब के बारिश में तो ये कार-ए-ज़ियाँ होना ही था - Mohsin Naqvi

ab ke baarish mein to ye kaar-e-ziyaan hona hi tha
apni kacchi bastiyon ko be-nishaan hona hi tha

kis ke bas mein tha hawa ki vahshaton ko rokna
burg-e-gul ko khaak shole ko dhuaan hona hi tha

jab koi samt-e-safar tay thi na hadd-e-rahguzar
ai mere rah-rau safar to raayegaan hona hi tha

mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak
faisla ye us ke mere darmiyaan hona hi tha

chaand ko chalna tha bahti seepiyon ke saath saath
mo'jiza ye bhi tah-e-aab-e-ravaan hona hi tha

main naye chehron pe kehta tha nayi ghazlein sada
meri is aadat se us ko bad-gumaan hona hi tha

shehar se baahar ki veeraani basaana thi mujhe
apni tanhaai pe kuch to meherbaan hona hi tha

apni aankhen dafn karna theen ghubaar-e-khaak mein
ye sitam bhi hum pe zer-e-aasmaan hona hi tha

be-sada basti ki rasmen theen yahi mohsin mere
main zabaan rakhta tha mujh ko be-zabaan hona hi tha

अब के बारिश में तो ये कार-ए-ज़ियाँ होना ही था
अपनी कच्ची बस्तियों को बे-निशाँ होना ही था

किस के बस में था हवा की वहशतों को रोकना
बर्ग-ए-गुल को ख़ाक शोले को धुआँ होना ही था

जब कोई सम्त-ए-सफ़र तय थी न हद्द-ए-रहगुज़र
ऐ मिरे रह-रौ सफ़र तो राएगाँ होना ही था

मुझ को रुकना था उसे जाना था अगले मोड़ तक
फ़ैसला ये उस के मेरे दरमियाँ होना ही था

चाँद को चलना था बहती सीपियों के साथ साथ
मो'जिज़ा ये भी तह-ए-आब-ए-रवाँ होना ही था

मैं नए चेहरों पे कहता था नई ग़ज़लें सदा
मेरी इस आदत से उस को बद-गुमाँ होना ही था

शहर से बाहर की वीरानी बसाना थी मुझे
अपनी तन्हाई पे कुछ तो मेहरबाँ होना ही था

अपनी आँखें दफ़्न करना थीं ग़ुबार-ए-ख़ाक में
ये सितम भी हम पे ज़ेर-ए-आसमाँ होना ही था

बे-सदा बस्ती की रस्में थीं यही 'मोहसिन' मिरे
मैं ज़बाँ रखता था मुझ को बे-ज़बाँ होना ही था

- Mohsin Naqvi
1 Like

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari