main kal tanhaa tha khilqat so rahi thi | मैं कल तन्हा था ख़िल्क़त सो रही थी - Mohsin Naqvi

main kal tanhaa tha khilqat so rahi thi
mujhe khud se bhi vehshat ho rahi thi

use jakda hua tha zindagi ne
sirhaane maut baithi ro rahi thi

khula mujh par ki meri khush-naseebi
mere raaste mein kaante bo rahi thi

mujhe bhi na-rasaai ka samar de
mujhe teri tamannaa jo rahi thi

mera qaateel mere andar chhupa tha
magar bad-naam khilqat ho rahi thi

bagaavat kar ke khud apne lahu se
ghulaami daagh apne dho rahi thi

labon par tha sukoot-e-marg lekin
mere dil mein qayamat so rahi thi

b-juz mauj-e-fana duniya mein mohsin
hamaari justuju kis ko rahi thi

मैं कल तन्हा था ख़िल्क़त सो रही थी
मुझे ख़ुद से भी वहशत हो रही थी

उसे जकड़ा हुआ था ज़िंदगी ने
सिरहाने मौत बैठी रो रही थी

खुला मुझ पर कि मेरी ख़ुश-नसीबी
मिरे रस्ते में काँटे बो रही थी

मुझे भी ना-रसाई का समर दे
मुझे तेरी तमन्ना जो रही थी

मिरा क़ातिल मिरे अंदर छुपा था
मगर बद-नाम ख़िल्क़त हो रही थी

बग़ावत कर के ख़ुद अपने लहू से
ग़ुलामी दाग़ अपने धो रही थी

लबों पर था सुकूत-ए-मर्ग लेकिन
मिरे दिल में क़यामत सो रही थी

ब-जुज़ मौज-ए-फ़ना दुनिया में 'मोहसिन'
हमारी जुस्तुजू किस को रही थी

- Mohsin Naqvi
2 Likes

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari