agarche main ik chataan sa aadmi raha hoon
magar tire ba'ad hausla hai ki jee raha hoon
vo reza reza mere badan mein utar raha hai
main qatra qatra usi ki aankhon ko pee raha hoon
tiri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera
mujhe to lagta hai main tira dost bhi raha hoon
khuli hain aankhen magar badan hai tamaam patthar
koi bataaye main mar chuka hoon ki jee raha hoon
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakham kaanton se si raha hoon
na pooch mujh se ki shehar waalon ka haal kya tha
ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hoon
mila to beete dinon ka sach us ki aankh mein tha
vo aashna jis se muddaton ajnabi raha hoon
bhula de mujh ko ki bewafaai baja hai lekin
ganwa na mujh ko ki main tiri zindagi raha hoon
vo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai mohsin
ye naaz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hoon
अगरचे मैं इक चटान सा आदमी रहा हूँ
मगर तिरे बा'द हौसला है कि जी रहा हूँ
वो रेज़ा रेज़ा मिरे बदन में उतर रहा है
मैं क़तरा क़तरा उसी की आँखों को पी रहा हूँ
तिरी हथेली पे किस ने लिक्खा है क़त्ल मेरा
मुझे तो लगता है मैं तिरा दोस्त भी रहा हूँ
खुली हैं आँखें मगर बदन है तमाम पत्थर
कोई बताए मैं मर चुका हूँ कि जी रहा हूँ
कहाँ मिलेगी मिसाल मेरी सितमगरी की
कि मैं गुलाबों के ज़ख़्म काँटों से सी रहा हूँ
न पूछ मुझ से कि शहर वालों का हाल क्या था
कि मैं तो ख़ुद अपने घर में भी दो घड़ी रहा हूँ
मिला तो बीते दिनों का सच उस की आँख में था
वो आश्ना जिस से मुद्दतों अजनबी रहा हूँ
भुला दे मुझ को कि बेवफ़ाई बजा है लेकिन
गँवा न मुझ को कि मैं तिरी ज़िंदगी रहा हूँ
वो अजनबी बन के अब मिले भी तो क्या है 'मोहसिन'
ये नाज़ कम है कि मैं भी उस का कभी रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Murder Shayari Shayari