ab ye sochun to bhanwar zehan mein pad jaate hain | अब ये सोचूँ तो भँवर ज़ेहन में पड़ जाते हैं

  - Mohsin Naqvi

ab ye sochun to bhanwar zehan mein pad jaate hain
kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain

kyun tire dard ko den tohmat-e-veeraani-e-dil
zalzalon mein to bhare shehar ujad jaate hain

mausam-e-zard mein ik dil ko bachaaun kaise
aisi rut mein to ghane ped bhi jhad jaate hain

ab koi kya mere qadmon ke nishaan dhundega
tez aandhi mein to kheme bhi ukhad jaate hain

shagl-e-arbaab-e-hunar poochte kya ho ki ye log
pattharon mein bhi kabhi aaine jad jaati hain

soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke saath
chaand chehron ke khud-o-khaal bigad jaate hain

shiddat-e-gham mein bhi zinda hoon to hairat kaisi
kuchh diye tund hawaon se bhi lad jaate hain

vo bhi kya log hain mohsin jo wafa ki khaatir
khud-taraashida usoolon pe bhi ad jaate hain

अब ये सोचूँ तो भँवर ज़ेहन में पड़ जाते हैं
कैसे चेहरे हैं जो मिलते ही बिछड़ जाते हैं

क्यूँ तिरे दर्द को दें तोहमत-ए-वीरानी-ए-दिल
ज़लज़लों में तो भरे शहर उजड़ जाते हैं

मौसम-ए-ज़र्द में इक दिल को बचाऊँ कैसे
ऐसी रुत में तो घने पेड़ भी झड़ जाते हैं

अब कोई क्या मिरे क़दमों के निशाँ ढूँडेगा
तेज़ आँधी में तो ख़ेमे भी उखड़ जाते हैं

शग़्ल-ए-अर्बाब-ए-हुनर पूछते क्या हो कि ये लोग
पत्थरों में भी कभी आइने जड़ जाती हैं

सोच का आइना धुँदला हो तो फिर वक़्त के साथ
चाँद चेहरों के ख़द-ओ-ख़ाल बिगड़ जाते हैं

शिद्दत-ए-ग़म में भी ज़िंदा हूँ तो हैरत कैसी
कुछ दिए तुंद हवाओं से भी लड़ जाते हैं

वो भी क्या लोग हैं 'मोहसिन' जो वफ़ा की ख़ातिर
ख़ुद-तराशीदा उसूलों पे भी अड़ जाते हैं

  - Mohsin Naqvi

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari