zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi
is raat der tak vo raha mahv-e-guftugu
masroof main bhi kam tha faraaghat use bhi thi
mujh se bichhad ke shehar mein ghul-mil gaya vo shakhs
haalaanki shahr-bhar se adavat use bhi thi
vo mujh se badh ke zabt ka aadi tha jee gaya
warna har ek saans qayamat use bhi thi
sunta tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan
shaayad rafaqaton ki zaroorat use bhi thi
tanhaa hua safar mein to mujh pe khula ye bhed
saaye se pyaar dhoop se nafrat use bhi thi
mohsin main us se kah na saka yun bhi haal dil
darpaish ek taaza museebat use bhi thi
ज़िक्र-ए-शब-ए-फ़िराक़ से वहशत उसे भी थी
मेरी तरह किसी से मोहब्बत उसे भी थी
मुझ को भी शौक़ था नए चेहरों की दीद का
रस्ता बदल के चलने की आदत उसे भी थी
इस रात देर तक वो रहा महव-ए-गुफ़्तुगू
मसरूफ़ मैं भी कम था फ़राग़त उसे भी थी
मुझ से बिछड़ के शहर में घुल-मिल गया वो शख़्स
हालाँकि शहर-भर से अदावत उसे भी थी
वो मुझ से बढ़ के ज़ब्त का आदी था जी गया
वर्ना हर एक साँस क़यामत उसे भी थी
सुनता था वो भी सब से पुरानी कहानियाँ
शायद रफ़ाक़तों की ज़रूरत उसे भी थी
तन्हा हुआ सफ़र में तो मुझ पे खुला ये भेद
साए से प्यार धूप से नफ़रत उसे भी थी
'मोहसिन' मैं उस से कह न सका यूँ भी हाल दिल
दरपेश एक ताज़ा मुसीबत उसे भी थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Hijr Shayari Shayari