itni muddat ba'ad mile ho
kin sochon mein gum firte ho
itne khaif kyun rahte ho
har aahat se dar jaate ho
tez hawa ne mujh se poocha
ret pe kya likhte rahte ho
kaash koi ham se bhi pooche
raat gaye tak kyun jaage ho
main dariya se bhi darta hoon
tum dariya se bhi gehre ho
kaun si baat hai tum mein aisi
itne achhe kyun lagte ho
peeche mud kar kyun dekha tha
patthar ban kar kya takte ho
jaao jeet ka jashn manao
mein jhoota hoon tum sacche ho
apne shehar ke sab logon se
meri khaatir kyun uljhe ho
kehne ko rahte ho dil mein
phir bhi kitne door khade ho
raat hamein kuchh yaad nahin tha
raat bahut hi yaad aaye ho
ham se na poocho hijr ke qisse
apni kaho ab tum kaise ho
mohsin tum badnaam bahut ho
jaise ho phir bhi achhe ho
इतनी मुद्दत बा'द मिले हो
किन सोचों में गुम फिरते हो
इतने ख़ाइफ़ क्यूँ रहते हो
हर आहट से डर जाते हो
तेज़ हवा ने मुझ से पूछा
रेत पे क्या लिखते रहते हो
काश कोई हम से भी पूछे
रात गए तक क्यूँ जागे हो
मैं दरिया से भी डरता हूँ
तुम दरिया से भी गहरे हो
कौन सी बात है तुम में ऐसी
इतने अच्छे क्यूँ लगते हो
पीछे मुड़ कर क्यूँ देखा था
पत्थर बन कर क्या तकते हो
जाओ जीत का जश्न मनाओ
में झूटा हूँ तुम सच्चे हो
अपने शहर के सब लोगों से
मेरी ख़ातिर क्यूँ उलझे हो
कहने को रहते हो दिल में
फिर भी कितने दूर खड़े हो
रात हमें कुछ याद नहीं था
रात बहुत ही याद आए हो
हम से न पूछो हिज्र के क़िस्से
अपनी कहो अब तुम कैसे हो
'मोहसिन' तुम बदनाम बहुत हो
जैसे हो फिर भी अच्छे हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Andhera Shayari Shayari