khumaar-e-mausam-e-khushbu had-e-chaman mein khula | ख़ुमार-ए-मौसम-ए-ख़ुश्बू हद-ए-चमन में खुला

  - Mohsin Naqvi

khumaar-e-mausam-e-khushbu had-e-chaman mein khula
meri ghazal ka khazana tire badan mein khula

tum us ka husn kabhi us ki bazm mein dekho
ki mahtaab sada shab ke pairhan mein khula

ajab nasha tha magar us ki bakhshish-e-lab mein
ki yun to ham se bhi kya kya na vo sukhun mein khula

na pooch pehli mulaqaat mein mizaaj us ka
vo rang rang mein simtaa kiran kiran mein khula

badan ki chaap nigaah ki zabaan bhi hoti hai
ye bhed ham pe magar us ki anjuman mein khula

ki jaise abr hawa ki girah se khul jaaye
safar ki shaam mera meherbaan thakan mein khula

kahoon main kis se nishaani thi kis maseeha ki
vo ek zakham ki mohsin mere kafan mein khula

ख़ुमार-ए-मौसम-ए-ख़ुश्बू हद-ए-चमन में खुला
मिरी ग़ज़ल का ख़ज़ाना तिरे बदन में खुला

तुम उस का हुस्न कभी उस की बज़्म में देखो
कि माहताब सदा शब के पैरहन में खुला

अजब नशा था मगर उस की बख़्शिश-ए-लब में
कि यूँ तो हम से भी क्या क्या न वो सुख़न में खुला

न पूछ पहली मुलाक़ात में मिज़ाज उस का
वो रंग रंग में सिमटा किरन किरन में खुला

बदन की चाप निगह की ज़बाँ भी होती है
ये भेद हम पे मगर उस की अंजुमन में खुला

कि जैसे अब्र हवा की गिरह से खुल जाए
सफ़र की शाम मिरा मेहरबाँ थकन में खुला

कहूँ मैं किस से निशानी थी किस मसीहा की
वो एक ज़ख़्म कि 'मोहसिन' मिरे कफ़न में खुला

  - Mohsin Naqvi

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari