ashk apna ki tumhaara nahin dekha jaata | अश्क अपना कि तुम्हारा नहीं देखा जाता - Mohsin Naqvi

ashk apna ki tumhaara nahin dekha jaata
abr ki zad mein sitaara nahin dekha jaata

apni shah-e-rag ka lahu tan mein ravaan hai jab tak
zer-e-khanjar koi pyaara nahin dekha jaata

mauj-dar-mauj uljhane ki havas be-ma'ni
doobta ho to sahaara nahin dekha jaata

tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha
warna suraj to dobara nahin dekha jaata

aag ki zid pe na ja phir se bhadak sakti hai
raakh ki tah mein sharaara nahin dekha jaata

zakham aankhon ke bhi sahte the kabhi dil waale
ab to abroo ka ishaara nahin dekha jaata

kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai mohsin
dil pe us ka bhi ijaara nahin dekha jaata

अश्क अपना कि तुम्हारा नहीं देखा जाता
अब्र की ज़द में सितारा नहीं देखा जाता

अपनी शह-ए-रग का लहू तन में रवाँ है जब तक
ज़ेर-ए-ख़ंजर कोई प्यारा नहीं देखा जाता

मौज-दर-मौज उलझने की हवस बे-मा'नी
डूबता हो तो सहारा नहीं देखा जाता

तेरे चेहरे की कशिश थी कि पलट कर देखा
वर्ना सूरज तो दोबारा नहीं देखा जाता

आग की ज़िद पे न जा फिर से भड़क सकती है
राख की तह में शरारा नहीं देखा जाता

ज़ख़्म आँखों के भी सहते थे कभी दिल वाले
अब तो अबरू का इशारा नहीं देखा जाता

क्या क़यामत है कि दिल जिस का नगर है 'मोहसिन'
दिल पे उस का भी इजारा नहीं देखा जाता

- Mohsin Naqvi
3 Likes

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari