hawa-e-hijr mein jo kuch tha ab ke khaak hua | हवा-ए-हिज्र में जो कुछ था अब के ख़ाक हुआ - Mohsin Naqvi

hawa-e-hijr mein jo kuch tha ab ke khaak hua
ki pairhan to gaya tha badan bhi chaak hua

ab us se tark-e-taalluq karoon to mar jaaun
badan se rooh ka is darja ishtiraak hua

yahi ki sab ki kamaanein humeen pe tooti hain
chalo hisaab-e-saf-e-dostaan to paak hua

vo be-sabab yoonhi rootha hai lamha-bhar ke liye
ye saanehaa na sahi phir bhi karb-naak hua

usi ke qurb ne taqseem kar diya aakhir
vo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimaak hua

shadeed vaar na dushman diler tha mohsin
main apni be-khabri se magar halaak hua

हवा-ए-हिज्र में जो कुछ था अब के ख़ाक हुआ
कि पैरहन तो गया था बदन भी चाक हुआ

अब उस से तर्क-ए-तअल्लुक़ करूँ तो मर जाऊँ
बदन से रूह का इस दर्जा इश्तिराक हुआ

यही कि सब की कमानें हमीं पे टूटी हैं
चलो हिसाब-ए-सफ़-ए-दोस्ताँ तो पाक हुआ

वो बे-सबब यूँही रूठा है लम्हा-भर के लिए
ये सानेहा न सही फिर भी कर्ब-नाक हुआ

उसी के क़ुर्ब ने तक़्सीम कर दिया आख़िर
वो जिस का हिज्र मुझे वज्ह-ए-इंहिमाक हुआ

शदीद वार न दुश्मन दिलेर था 'मोहसिन'
मैं अपनी बे-ख़बरी से मगर हलाक हुआ

- Mohsin Naqvi
0 Likes

Nafrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Nafrat Shayari Shayari