kis ne sang-e-khaamushi fenka bhare-bazaar par | किस ने संग-ए-ख़ामुशी फेंका भरे-बाज़ार पर

  - Mohsin Naqvi

kis ne sang-e-khaamushi fenka bhare-bazaar par
ik sukoot-e-marg taari hai dar-o-deewar par

tu ne apni zulf ke saaye mein afsaane kahe
mujh ko zanjeeren mili hain jurat-e-izhaar par

shaakh-e-uriyaan par khila ik phool is andaaz se
jis tarah taaza lahu chamke nayi talwaar par

sang-dil ahbaab ke daaman mein ruswaai ke phool
main ne dekha hai naya manzar faraaz-e-daar par

ab koi tohmat bhi wajh-e-karb-e-ruswaai nahin
zindagi ik umr se chup hai tire israar par

main sar-e-maqtal hadees-e-zindagi kehta raha
ungaliyaan uthati raheen mohsin mere kirdaar par

किस ने संग-ए-ख़ामुशी फेंका भरे-बाज़ार पर
इक सुकूत-ए-मर्ग तारी है दर-ओ-दीवार पर

तू ने अपनी ज़ुल्फ़ के साए में अफ़्साने कहे
मुझ को ज़ंजीरें मिली हैं जुरअत-ए-इज़हार पर

शाख़-ए-उरियाँ पर खिला इक फूल इस अंदाज़ से
जिस तरह ताज़ा लहू चमके नई तलवार पर

संग-दिल अहबाब के दामन में रुस्वाई के फूल
मैं ने देखा है नया मंज़र फ़राज़-ए-दार पर

अब कोई तोहमत भी वज्ह-ए-कर्ब-ए-रुसवाई नहीं
ज़िंदगी इक उम्र से चुप है तिरे इसरार पर

मैं सर-ए-मक़्तल हदीस-ए-ज़िंदगी कहता रहा
उँगलियाँ उठती रहीं 'मोहसिन' मिरे किरदार पर

  - Mohsin Naqvi

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari