khud apne dil mein kharaashein utaarna hongi | ख़ुद अपने दिल में ख़राशें उतारना होंगी

  - Mohsin Naqvi

khud apne dil mein kharaashein utaarna hongi
abhi to jaag ke raatein guzaarna hongi

tire liye mujhe hans hans ke bolna hoga
mere liye tujhe zulfen sanwaarna hongi

tiri sada se tujhi ko taraashna hoga
hawa ki chaap se shaklein ubhaarna hongi

abhi to teri tabi'at ko jeetne ke liye
dil o nigaah ki shartein bhi haarna hongi

tire visaal ki khwaahish ke tez rangon se
tire firaq ki subhen nikhaarna hongi

ye shaay'ri ye kitaaben ye aayatein dil ki
nishaaniyaan ye sabhi tujh pe waarna hongi

ख़ुद अपने दिल में ख़राशें उतारना होंगी
अभी तो जाग के रातें गुज़ारना होंगी

तिरे लिए मुझे हँस हँस के बोलना होगा
मिरे लिए तुझे ज़ुल्फ़ें सँवारना होंगी

तिरी सदा से तुझी को तराशना होगा
हवा की चाप से शक्लें उभारना होंगी

अभी तो तेरी तबीअ'त को जीतने के लिए
दिल ओ निगाह की शर्तें भी हारना होंगी

तिरे विसाल की ख़्वाहिश के तेज़ रंगों से
तिरे फ़िराक़ की सुब्हें निखारना होंगी

ये शाइ'री ये किताबें ये आयतें दिल की
निशानियाँ ये सभी तुझ पे वारना होंगी

  - Mohsin Naqvi

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari