ujad ujad ke sanwarti hai tere hijr ki shaam | उजड़ उजड़ के सँवरती है तेरे हिज्र की शाम - Mohsin Naqvi

ujad ujad ke sanwarti hai tere hijr ki shaam
na pooch kaise guzarti hai tere hijr ki shaam

ye berg berg udaasi bikhar rahi hai meri
ki shaakh shaakh utarti hai tere hijr ki shaam

ujaad ghar mein koi chaand kab utarta hai
sawaal mujh se ye karti hai tere hijr ki shaam

mere safar mein ik aisa bhi mod aata hai
jab apne aap se darti hai tere hijr ki shaam

bahut aziz hain dil ko ye zakham zakham rutein
inhi rutoon mein nikhrati hai tere hijr ki shaam

ye mera dil ye saraasar nigaaar-khaana-e-gham
sada isee mein utarti hai tere hijr ki shaam

jahaan jahaan bhi milen teri qurbaton ke nishaan
wahan wahan se ubharti hai tere hijr ki shaam

ye haadisa tujhe shaayad udaas kar dega
ki mere saath hi marti hai tere hijr ki shaam

उजड़ उजड़ के सँवरती है तेरे हिज्र की शाम
न पूछ कैसे गुज़रती है तेरे हिज्र की शाम

ये बर्ग बर्ग उदासी बिखर रही है मिरी
कि शाख़ शाख़ उतरती है तेरे हिज्र की शाम

उजाड़ घर में कोई चाँद कब उतरता है
सवाल मुझ से ये करती है तेरे हिज्र की शाम

मिरे सफ़र में इक ऐसा भी मोड़ आता है
जब अपने आप से डरती है तेरे हिज्र की शाम

बहुत अज़ीज़ हैं दिल को ये ज़ख़्म ज़ख़्म रुतें
इन्ही रुतों में निखरती है तेरे हिज्र की शाम

ये मेरा दिल ये सरासर निगार-खाना-ए-ग़म
सदा इसी में उतरती है तेरे हिज्र की शाम

जहाँ जहाँ भी मिलें तेरी क़ुर्बतों के निशाँ
वहाँ वहाँ से उभरती है तेरे हिज्र की शाम

ये हादिसा तुझे शायद उदास कर देगा
कि मेरे साथ ही मरती है तेरे हिज्र की शाम

- Mohsin Naqvi
0 Likes

Depression Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Depression Shayari Shayari