zabaan rakhta hoon lekin chup khada hoon | ज़बाँ रखता हूँ लेकिन चुप खड़ा हूँ

  - Mohsin Naqvi

zabaan rakhta hoon lekin chup khada hoon
main aawazon ke ban mein ghir gaya hoon

mere ghar ka dareecha poochta hai
main saara din kahaan firta raha hoon

mujhe mere siva sab log samjhen
main apne aap se kam bolta hoon

sitaaron se hasad ki intiha hai
main qabron par charaaghaan kar raha hoon

sambhal kar ab hawaon se uljhana
main tujh se pesh-tar bujhne laga hoon

meri qurbat se kyun khaif hai duniya
samundar hoon main khud mein goonjtaa hoon

mujhe kab tak sametega vo mohsin
main andar se bahut toota hua hoon

ज़बाँ रखता हूँ लेकिन चुप खड़ा हूँ
मैं आवाज़ों के बन में घिर गया हूँ

मिरे घर का दरीचा पूछता है
मैं सारा दिन कहाँ फिरता रहा हूँ

मुझे मेरे सिवा सब लोग समझें
मैं अपने आप से कम बोलता हूँ

सितारों से हसद की इंतिहा है
मैं क़ब्रों पर चराग़ाँ कर रहा हूँ

सँभल कर अब हवाओं से उलझना
मैं तुझ से पेश-तर बुझने लगा हूँ

मिरी क़ुर्बत से क्यूँ ख़ाइफ़ है दुनिया
समुंदर हूँ मैं ख़ुद में गूँजता हूँ

मुझे कब तक समेटेगा वो 'मोहसिन'
मैं अंदर से बहुत टूटा हुआ हूँ

  - Mohsin Naqvi

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari