ye dil ye paagal dil mera kyun bujh gaya aawaargi | ये दिल ये पागल दिल मिरा क्यूँ बुझ गया आवारगी

  - Mohsin Naqvi

ye dil ye paagal dil mera kyun bujh gaya aawaargi
is dasht mein ik shehar tha vo kya hua aawaargi

kal shab mujhe be-shakl ki awaaz ne chauka diya
main ne kaha tu kaun hai us ne kaha aawaargi

logo bhala is shehar mein kaise jiyeenge ham jahaan
ho jurm tanhaa sochna lekin saza aawaargi

ye dard ki tanhaaiyaan ye dasht ka veeraan safar
ham log to ukta gaye apni suna aawaargi

ik ajnabi jhonke ne jab poocha mere gham ka sabab
sehra ki bheegi ret par main ne likha aawaargi

us samt wahshi khwahishon ki zad mein paimaan-e-wafa
us samt lehron ki dhamak kaccha ghada aawaargi

kal raat tanhaa chaand ko dekha tha main ne khwaab mein
mohsin mujhe raas aayegi shaayad sada aawaargi

ये दिल ये पागल दिल मिरा क्यूँ बुझ गया आवारगी
इस दश्त में इक शहर था वो क्या हुआ आवारगी

कल शब मुझे बे-शक्ल की आवाज़ ने चौंका दिया
मैं ने कहा तू कौन है उस ने कहा आवारगी

लोगो भला इस शहर में कैसे जिएँगे हम जहाँ
हो जुर्म तन्हा सोचना लेकिन सज़ा आवारगी

ये दर्द की तन्हाइयाँ ये दश्त का वीराँ सफ़र
हम लोग तो उक्ता गए अपनी सुना आवारगी

इक अजनबी झोंके ने जब पूछा मिरे ग़म का सबब
सहरा की भीगी रेत पर मैं ने लिखा आवारगी

उस सम्त वहशी ख़्वाहिशों की ज़द में पैमान-ए-वफ़ा
उस सम्त लहरों की धमक कच्चा घड़ा आवारगी

कल रात तन्हा चाँद को देखा था मैं ने ख़्वाब में
'मोहसिन' मुझे रास आएगी शायद सदा आवारगी

  - Mohsin Naqvi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari