phir wahi main hoon wahi shahr-badar sannaata | फिर वही मैं हूँ वही शहर-बदर सन्नाटा

  - Mohsin Naqvi

phir wahi main hoon wahi shahr-badar sannaata
mujh ko das le na kahi khaak-basar sannaata

dasht-e-hasti mein shab-e-gham ki sehar karne ko
hijr waalon ne liya rakht-e-safar sannaata

kis se poochoon ki kahaan hai mera rone waala
is taraf main hoon mere ghar se udhar sannaata

tu sadaaon ke bhanwar mein mujhe awaaz to de
tujh ko dega mere hone ki khabar sannaata

us ko hangaama-e-manjil ki khabar kya doge
jis ne paaya ho sar-e-raahguzar sannaata

haasil-e-kunj-e-qafas wahm-b-kaf tanhaai
raunaq-e-shaam-e-safar ta-b-sehr sannaata

qismat-e-shair-e-seemaab-sifat dasht ki maut
qeemat-e-reza-e-almaas-e-hunar sannaata

jaan-e-'mohsin meri taqdeer mein kab likkha hai
doobta chaand tira qurb-e-gazar sannaata

फिर वही मैं हूँ वही शहर-बदर सन्नाटा
मुझ को डस ले न कहीं ख़ाक-बसर सन्नाटा

दश्त-ए-हस्ती में शब-ए-ग़म की सहर करने को
हिज्र वालों ने लिया रख़्त-ए-सफ़र सन्नाटा

किस से पूछूँ कि कहाँ है मिरा रोने वाला
इस तरफ़ मैं हूँ मिरे घर से उधर सन्नाटा

तू सदाओं के भँवर में मुझे आवाज़ तो दे
तुझ को देगा मिरे होने की ख़बर सन्नाटा

उस को हंगामा-ए-मंज़िल की ख़बर क्या दोगे
जिस ने पाया हो सर-ए-राहगुज़र सन्नाटा

हासिल-ए-कुंज-ए-क़फ़स वहम-ब-कफ़ तन्हाई
रौनक़-ए-शाम-ए-सफ़र ता-ब-सहर सन्नाटा

क़िस्मत-ए-शाइर-ए-सीमाब-सिफ़त दश्त की मौत
क़ीमत-ए-रेज़ा-ए-अल्मास-ए-हुनर सन्नाटा

जान-ए-'मोहसिन' मिरी तक़दीर में कब लिक्खा है
डूबता चाँद तिरा क़ुर्ब-ए-गज़र सन्नाटा

  - Mohsin Naqvi

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari