jab hijr ke shehar mein dhoop utri main jaag pada to khwaab hua
meri soch khizaan ki shaakh bani tira chehra aur gulaab hua
barfeeli rut ki tez hawa kyun jheel mein kankar fenk gai
ik aankh ki neend haraam hui ik chaand ka aks kharab hua
tire hijr mein zehan pighlata tha tire qurb mein aankhen jaltee hain
tujhe khona ek qayamat tha tira milna aur azaab hua
bhare shehar mein ek hi chehra tha jise aaj bhi galiyaan dhundti hain
kisi subh usi ki dhoop khili kisi raat wahi mahtaab hua
badi umr ke ba'ad in aankhon mein koi abr utara tiri yaadon ka
mere dil ki zameen aabaad hui mere gham ka nagar shaadaab hua
kabhi vasl mein mohsin dil toota kabhi hijr ki rut ne laaj rakhi
kisi jism mein aankhen kho baithe koi chehra khuli kitaab hua
जब हिज्र के शहर में धूप उतरी मैं जाग पड़ा तो ख़्वाब हुआ
मिरी सोच ख़िज़ाँ की शाख़ बनी तिरा चेहरा और गुलाब हुआ
बर्फ़ीली रुत की तेज़ हवा क्यूँ झील में कंकर फेंक गई
इक आँख की नींद हराम हुई इक चाँद का अक्स ख़राब हुआ
तिरे हिज्र में ज़ेहन पिघलता था तिरे क़ुर्ब में आँखें जलती हैं
तुझे खोना एक क़यामत था तिरा मिलना और अज़ाब हुआ
भरे शहर में एक ही चेहरा था जिसे आज भी गलियाँ ढूँडती हैं
किसी सुब्ह उसी की धूप खिली किसी रात वही महताब हुआ
बड़ी उम्र के बा'द इन आँखों में कोई अब्र उतरा तिरी यादों का
मिरे दिल की ज़मीं आबाद हुई मिरे ग़म का नगर शादाब हुआ
कभी वस्ल में 'मोहसिन' दिल टूटा कभी हिज्र की रुत ने लाज रखी
किसी जिस्म में आँखें खो बैठे कोई चेहरा खुली किताब हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Yaad Shayari Shayari