ab vo toofaan hai na vo shor hawaon jaisa | अब वो तूफ़ाँ है न वो शोर हवाओं जैसा - Mohsin Naqvi

ab vo toofaan hai na vo shor hawaon jaisa
dil ka aalam hai tire ba'ad khalaon jaisa

kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de
khaamoshi ka wahi andaaz sadaaon jaisa

paas rah kar bhi hamesha vo bahut door mila
us ka andaaz-e-taghaful tha khudaaon jaisa

kitni shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal
phool khil kar bhi raha zard khizaon jaisa

kya qayamat hai ki duniya use sardaar kahe
jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa

phir tiri yaad ke mausam ne jagaae mahshar
phir mere dil mein utha shor hawaon jaisa

baarha khwaab mein pa kar mujhe pyaasa mohsin
us ki zulfon ne kiya raqs ghataon jaisa

अब वो तूफ़ाँ है न वो शोर हवाओं जैसा
दिल का आलम है तिरे बा'द ख़लाओं जैसा

काश दुनिया मिरे एहसास को वापस कर दे
ख़ामुशी का वही अंदाज़ सदाओं जैसा

पास रह कर भी हमेशा वो बहुत दूर मिला
उस का अंदाज़-ए-तग़ाफ़ुल था ख़ुदाओं जैसा

कितनी शिद्दत से बहारों को था एहसास-ए-मआ'ल
फूल खिल कर भी रहा ज़र्द ख़िज़ाओं जैसा

क्या क़यामत है कि दुनिया उसे सरदार कहे
जिस का अंदाज़-ए-सुख़न भी हो गदाओं जैसा

फिर तिरी याद के मौसम ने जगाए महशर
फिर मिरे दिल में उठा शोर हवाओं जैसा

बारहा ख़्वाब में पा कर मुझे प्यासा 'मोहसिन'
उस की ज़ुल्फ़ों ने किया रक़्स घटाओं जैसा

- Mohsin Naqvi
1 Like

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari