azaab-e-deed mein aankhen lahu lahu kar ke
main sharmasaar hua teri justuju kar ke
khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva
mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke
suna hai shehar mein zakhmi dilon ka mela hai
chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke
masafat-e-shab-e-hijraan ke ba'ad bhed khula
hawa dukhi hai charaagon ki aabroo kar ke
zameen ki pyaas usi ke lahu ko chaat gai
vo khush hua tha samundar ko aabjoo kar ke
ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga
abhi to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke
juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai
nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke
ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai
hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke
koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin
mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke
अज़ाब-ए-दीद में आँखें लहू लहू कर के
मैं शर्मसार हुआ तेरी जुस्तुजू कर के
खंडर की तह से बुरीदा-बदन सरों के सिवा
मिला न कुछ भी ख़ज़ानों की आरज़ू कर के
सुना है शहर में ज़ख़्मी दिलों का मेला है
चलेंगे हम भी मगर पैरहन रफ़ू कर के
मसाफ़त-ए-शब-ए-हिज्राँ के बा'द भेद खुला
हवा दुखी है चराग़ों की आबरू कर के
ज़मीं की प्यास उसी के लहू को चाट गई
वो ख़ुश हुआ था समुंदर को आबजू कर के
ये किस ने हम से लहू का ख़िराज फिर माँगा
अभी तो सोए थे मक़्तल को सुर्ख़-रू कर के
जुलूस-ए-अहल-ए-वफ़ा किस के दर पे पहुँचा है
निशान-ए-तौक़-ए-वफ़ा ज़ीनत-ए-गुलू कर के
उजाड़ रुत को गुलाबी बनाए रखती है
हमारी आँख तिरी दीद से वुज़ू कर के
कोई तो हब्स-ए-हवा से ये पूछता 'मोहसिन'
मिला है क्या उसे कलियों को बे-नुमू कर के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Deedar Shayari Shayari