ujde hue logon se gurezaan na hua kar
haalaat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar
kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai
khwaabida parindon ko darakhton se uda kar
us shakhs ke tum se bhi maraasim hain to honge
vo jhooth na bolega mere saamne aa kar
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhaai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar
vo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
dhoonda tha jise waqt ki deewaar gira kar
ai dil tujhe dushman ki bhi pehchaan kahaan hai
tu halka-e-yaaraan mein bhi mohtaath raha kar
is shab ke muqaddar mein sehar hi nahin mohsin
dekha hai kai baar charaagon ko bujha kar
उजड़े हुए लोगों से गुरेज़ाँ न हुआ कर
हालात की क़ब्रों के ये कतबे भी पढ़ा कर
क्या जानिए क्यूँ तेज़ हवा सोच में गुम है
ख़्वाबीदा परिंदों को दरख़्तों से उड़ा कर
उस शख़्स के तुम से भी मरासिम हैं तो होंगे
वो झूट न बोलेगा मिरे सामने आ कर
हर वक़्त का हँसना तुझे बर्बाद न कर दे
तन्हाई के लम्हों में कभी रो भी लिया कर
वो आज भी सदियों की मसाफ़त पे खड़ा है
ढूँडा था जिसे वक़्त की दीवार गिरा कर
ऐ दिल तुझे दुश्मन की भी पहचान कहाँ है
तू हल्क़ा-ए-याराँ में भी मोहतात रहा कर
इस शब के मुक़द्दर में सहर ही नहीं 'मोहसिन'
देखा है कई बार चराग़ों को बुझा कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Khushboo Shayari Shayari