jab se us ne shehar ko chhodaa har rasta sunsaan hua | जब से उस ने शहर को छोड़ा हर रस्ता सुनसान हुआ

  - Mohsin Naqvi

jab se us ne shehar ko chhodaa har rasta sunsaan hua
apna kya hai saare shehar ka ik jaisa nuksaan hua

ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka
soch raha hoon is nagri mein tu kab se mehmaan hua

sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui
muft mein ham aawaara thehre muft mein ghar veeraan hua

mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam mein
patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua

itni der mein ujde dil par kitne mahshar beet gaye
jitni der mein tujh ko pa kar khone ka imkaan hua

kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka
aaj usi ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua

us ke zakham chhupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazaron se
us se kaisa shikwa kijeye vo to abhi naadaan hua

jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the
un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua

yun bhi kam-aamez tha mohsin vo is shehar ke logon mein
lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

जब से उस ने शहर को छोड़ा हर रस्ता सुनसान हुआ
अपना क्या है सारे शहर का इक जैसा नुक़सान हुआ

ये दिल ये आसेब की नगरी मस्कन सोचूँ वहमों का
सोच रहा हूँ इस नगरी में तू कब से मेहमान हुआ

सहरा की मुँह-ज़ोर हवाएँ औरों से मंसूब हुईं
मुफ़्त में हम आवारा ठहरे मुफ़्त में घर वीरान हुआ

मेरे हाल पे हैरत कैसी दर्द के तन्हा मौसम में
पत्थर भी रो पड़ते हैं इंसान तो फिर इंसान हुआ

इतनी देर में उजड़े दिल पर कितने महशर बीत गए
जितनी देर में तुझ को पा कर खोने का इम्कान हुआ

कल तक जिस के गिर्द था रक़्साँ इक अम्बोह सितारों का
आज उसी को तन्हा पा कर मैं तो बहुत हैरान हुआ

उस के ज़ख़्म छुपा कर रखिए ख़ुद उस शख़्स की नज़रों से
उस से कैसा शिकवा कीजे वो तो अभी नादान हुआ

जिन अश्कों की फीकी लौ को हम बे-कार समझते थे
उन अश्कों से कितना रौशन इक तारीक मकान हुआ

यूँ भी कम-आमेज़ था 'मोहसिन' वो इस शहर के लोगों में
लेकिन मेरे सामने आ कर और भी कुछ अंजान हुआ

  - Mohsin Naqvi

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari