qatl chhupte the kabhi sang ki deewaar ke beech | क़त्ल छुपते थे कभी संग की दीवार के बीच

  - Mohsin Naqvi

qatl chhupte the kabhi sang ki deewaar ke beech
ab to khulne lage maqtal bhare bazaar ke beech

apni poshaak ke chin jaane pe afsos na kar
sar salaamat nahin rahte yahan dastaar ke beech

surkhiyaan amn ki talkin mein masroof raheen
harf baarood ugalte rahe akhbaar ke beech

kaash is khwaab ki ta'beer ki mohlat na mile
sholay ugte nazar aaye mujhe gulzaar ke beech

dhalti suraj ki tamaazat ne bikhar kar dekha
sar-kasheeda mera saaya saf-e-ashjaar ke beech

rizq malboos makaan saans marz qarz dava
munaqsim ho gaya insaan inhi afkaar ke beech

dekhe jaate na the aansu mere jis se mohsin
aaj hanste hue dekha use aghyaar ke beech

क़त्ल छुपते थे कभी संग की दीवार के बीच
अब तो खुलने लगे मक़्तल भरे बाज़ार के बीच

अपनी पोशाक के छिन जाने पे अफ़सोस न कर
सर सलामत नहीं रहते यहाँ दस्तार के बीच

सुर्ख़ियाँ अम्न की तल्क़ीन में मसरूफ़ रहीं
हर्फ़ बारूद उगलते रहे अख़बार के बीच

काश इस ख़्वाब की ता'बीर की मोहलत न मिले
शो'ले उगते नज़र आए मुझे गुलज़ार के बीच

ढलते सूरज की तमाज़त ने बिखर कर देखा
सर-कशीदा मिरा साया सफ़-ए-अशजार के बीच

रिज़्क़ मल्बूस मकाँ साँस मरज़ क़र्ज़ दवा
मुनक़सिम हो गया इंसाँ इन्ही अफ़्कार के बीच

देखे जाते न थे आँसू मिरे जिस से 'मोहसिन'
आज हँसते हुए देखा उसे अग़्यार के बीच

  - Mohsin Naqvi

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari