tire badan se jo choo kar idhar bhi aata hai
misaal-e-rang vo jhonka nazar bhi aata hai
tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas diya
hawa ki raah mein ik aisa ghar bhi aata hai
vo mujh ko toot ke chahega chhod jaayega
mujhe khabar thi use ye hunar bhi aata hai
ujaad ban mein utarta hai ek jugnoo bhi
hawa ke saath koi hum-safar bhi aata hai
wafa ki kaun si manzil pe us ne chhodaa tha
ki vo to yaad hamein bhool kar bhi aata hai
jahaan lahu ke samundar ki had thaharti hai
wahin jazeera-e-laal-o-guhar bhi aata hai
chale jo zikr farishton ki paarsaai ka
to zer-e-bahs maqaam-e-bashar bhi aata hai
abhi sinaan ko sambhaale rahein adoo mere
ki un safoon mein kahi mera sar bhi aata hai
kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se koi
shua-e-subh ki soorat utar bhi aata hai
isee liye main kisi shab na so saka mohsin
vo mahtaab kabhi baam par bhi aata hai
तिरे बदन से जो छू कर इधर भी आता है
मिसाल-ए-रंग वो झोंका नज़र भी आता है
तमाम शब जहाँ जलता है इक उदास दिया
हवा की राह में इक ऐसा घर भी आता है
वो मुझ को टूट के चाहेगा छोड़ जाएगा
मुझे ख़बर थी उसे ये हुनर भी आता है
उजाड़ बन में उतरता है एक जुगनू भी
हवा के साथ कोई हम-सफ़र भी आता है
वफ़ा की कौन सी मंज़िल पे उस ने छोड़ा था
कि वो तो याद हमें भूल कर भी आता है
जहाँ लहू के समुंदर की हद ठहरती है
वहीं जज़ीरा-ए-लाल-ओ-गुहर भी आता है
चले जो ज़िक्र फ़रिश्तों की पारसाई का
तो ज़ेर-ए-बहस मक़ाम-ए-बशर भी आता है
अभी सिनाँ को सँभाले रहें अदू मेरे
कि उन सफ़ों में कहीं मेरा सर भी आता है
कभी कभी मुझे मिलने बुलंदियों से कोई
शुआ-ए-सुब्ह की सूरत उतर भी आता है
इसी लिए मैं किसी शब न सो सका 'मोहसिन'
वो माहताब कभी बाम पर भी आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi
our suggestion based on Mohsin Naqvi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari