saare lehje tire be-zamaan ek main | सारे लहजे तिरे बे-ज़माँ एक मैं - Mohsin Naqvi

saare lehje tire be-zamaan ek main
is bhare shehar mein raayegaan ek main

vasl ke shehar ki raushni ek tu
hijr ke dasht mein kaarwaan ek main

bijliyon se bhari baarishen zor par
apni basti mein kaccha makaan ek main

hasraton se atte aasmaan ke tale
jaltee-bujhtee hui kahkashaan ek main

mujh ko faarigh dinon ki amaanat samajh
bhooli-bisri hui dastaan ek main

raunqen shor mele jhamele tire
apni tanhaai ka raaz-daan ek main

ek main apni hi zindagi ka bharam
apni hi maut par nauha-khwaan ek main

us taraf sang-baari har ik baam se
is taraf aainon ki dukaaan ek main

vo nahin hai to mohsin ye mat sochna
ab bhatkata phiroonga kahaan ek main

सारे लहजे तिरे बे-ज़माँ एक मैं
इस भरे शहर में राएगाँ एक मैं

वस्ल के शहर की रौशनी एक तू
हिज्र के दश्त में कारवाँ एक मैं

बिजलियों से भरी बारिशें ज़ोर पर
अपनी बस्ती में कच्चा मकाँ एक मैं

हसरतों से अटे आसमाँ के तले
जलती-बुझती हुई कहकशाँ एक मैं

मुझ को फ़ारिग़ दिनों की अमानत समझ
भूली-बिसरी हुई दास्ताँ एक मैं

रौनक़ें शोर मेले झमेले तिरे
अपनी तन्हाई का राज़-दाँ एक मैं

एक मैं अपनी ही ज़िंदगी का भरम
अपनी ही मौत पर नौहा-ख़्वाँ एक मैं

उस तरफ़ संग-बारी हर इक बाम से
इस तरफ़ आइनों की दुकाँ एक मैं

वो नहीं है तो 'मोहसिन' ये मत सोचना
अब भटकता फिरूंगा कहाँ एक मैं

- Mohsin Naqvi
0 Likes

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari