khafa hona zara si baat par talwaar ho jaana | ख़फ़ा होना ज़रा सी बात पर तलवार हो जाना

  - Munawwar Rana

khafa hona zara si baat par talwaar ho jaana
magar phir khud-b-khud vo aap ka gulnaar ho jaana

kisi din meri ruswaai ka ye kaaran na ban jaaye
tumhaara shehar se jaana mera beemaar ho jaana

vo apna jism saara saunp dena meri aankhon ko
meri padhne ki koshish aap ka akhbaar ho jaana

kabhi jab aandhiyaan chalti hain ham ko yaad aata hai
hawa ka tez chalna aap ka deewaar ho jaana

bahut dushwaar hai mere liye us ka tasavvur bhi
bahut aasaan hai us ke liye dushwaar ho jaana

kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai
kahi chalne ki zid karna mera taiyyaar ho jaana

kahaani ka ye hissa ab bhi koi khwaab lagta hai
tira sar par bitha lena mera dastaar ho jaana

mohabbat ik na ik din ye hunar tum ko sikha degi
bagaavat par utarna aur khud-mukhtaar ho jaana

nazar neechi kiye us ka guzarna paas se mere
zara si der rukna phir saba-raftaar ho jaana

ख़फ़ा होना ज़रा सी बात पर तलवार हो जाना
मगर फिर ख़ुद-ब-ख़ुद वो आप का गुलनार हो जाना

किसी दिन मेरी रुस्वाई का ये कारन न बन जाए
तुम्हारा शहर से जाना मिरा बीमार हो जाना

वो अपना जिस्म सारा सौंप देना मेरी आँखों को
मिरी पढ़ने की कोशिश आप का अख़बार हो जाना

कभी जब आँधियाँ चलती हैं हम को याद आता है
हवा का तेज़ चलना आप का दीवार हो जाना

बहुत दुश्वार है मेरे लिए उस का तसव्वुर भी
बहुत आसान है उस के लिए दुश्वार हो जाना

किसी की याद आती है तो ये भी याद आता है
कहीं चलने की ज़िद करना मिरा तय्यार हो जाना

कहानी का ये हिस्सा अब भी कोई ख़्वाब लगता है
तिरा सर पर बिठा लेना मिरा दस्तार हो जाना

मोहब्बत इक न इक दिन ये हुनर तुम को सिखा देगी
बग़ावत पर उतरना और ख़ुद-मुख़्तार हो जाना

नज़र नीची किए उस का गुज़रना पास से मेरे
ज़रा सी देर रुकना फिर सबा-रफ़्तार हो जाना

  - Munawwar Rana

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari