ye sar-buland hote hi shaane se kat gaya | ये सर-बुलंद होते ही शाने से कट गया

  - Munawwar Rana

ye sar-buland hote hi shaane se kat gaya
main mohtaram hua to zamaane se kat gaya

maa aaj mujh ko chhod ke gaav chali gai
main aaj apne aaina-khaane se kat gaya

jode ki shaan badh gai mehfil mahak uthi
lekin ye phool apne gharaane se kat gaya

ai aansuo tumhaari zaroorat hai ab mujhe
kuchh mail to badan ka nahaane se kat gaya

us ped se kisi ko shikaayat na thi magar
ye ped sirf beech mein aane se kat gaya

warna wahi ujaad haveli si zindagi
tum aa gaye to waqt thikaane se kat gaya

ये सर-बुलंद होते ही शाने से कट गया
मैं मोहतरम हुआ तो ज़माने से कट गया

माँ आज मुझ को छोड़ के गाँव चली गई
मैं आज अपने आईना-ख़ाने से कट गया

जोड़े की शान बढ़ गई महफ़िल महक उठी
लेकिन ये फूल अपने घराने से कट गया

ऐ आँसुओ तुम्हारी ज़रूरत है अब मुझे
कुछ मैल तो बदन का नहाने से कट गया

उस पेड़ से किसी को शिकायत न थी मगर
ये पेड़ सिर्फ़ बीच में आने से कट गया

वर्ना वही उजाड़ हवेली सी ज़िंदगी
तुम आ गए तो वक़्त ठिकाने से कट गया

  - Munawwar Rana

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari