dohraa raha hoon baat puraani kahi hui
tasveer tere ghar mein thi meri lagi hui
in bad-naseeb aankhon ne dekhi hai baar baar
deewaar mein gareeb ki khwaahish chuni hui
taaza ghazal zaroori hai mehfil ke vaaste
sunta nahin hai koi dobara sooni hui
muddat se koi doosra rehta hai ham nahin
darwaaze par hamaari hai takhti lagi hui
jab tak hai dor haath mein tab tak ka khel hai
dekhi to hongi tum ne patange kati hui
jis ki judaai ne mujhe shaair bana diya
padhta hoon main ghazal bhi usi ki likhi hui
lagta hai jaise ghar mein nahin hoon main qaid hoon
milti hain rotiyaan bhi jahaan par gini hui
saanson ke aane jaane pe chalta hai kaarobaar
chhoota nahin hai koi bhi haandi jali hui
ye zakham ka nishaan hai jaayega der se
chhutti nahin hai jaldi se mehndi lagi hui
दोहरा रहा हूँ बात पुरानी कही हुई
तस्वीर तेरे घर में थी मेरी लगी हुई
इन बद-नसीब आँखों ने देखी है बार बार
दीवार में ग़रीब की ख़्वाहिश चुनी हुई
ताज़ा ग़ज़ल ज़रूरी है महफ़िल के वास्ते
सुनता नहीं है कोई दोबारा सुनी हुई
मुद्दत से कोई दूसरा रहता है हम नहीं
दरवाज़े पर हमारी है तख़्ती लगी हुई
जब तक है डोर हाथ में तब तक का खेल है
देखी तो होंगी तुम ने पतंगें कटी हुई
जिस की जुदाई ने मुझे शाइर बना दिया
पढ़ता हूँ मैं ग़ज़ल भी उसी की लिखी हुई
लगता है जैसे घर में नहीं हूँ मैं क़ैद हूँ
मिलती हैं रोटियाँ भी जहाँ पर गिनी हुई
साँसों के आने जाने पे चलता है कारोबार
छूता नहीं है कोई भी हाँडी जली हुई
ये ज़ख़्म का निशान है जाएगा देर से
छुटती नहीं है जल्दी से मेहंदी लगी हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Duniya Shayari Shayari