kaale kapde nahin pahne hain to itna kar le | काले कपड़े नहीं पहने हैं तो इतना कर ले - Munawwar Rana

kaale kapde nahin pahne hain to itna kar le
ik zara der ko kamre mein andhera kar le

ab mujhe paar utar jaane de aisa kar le
warna jo aaye samajh mein tiri dariya kar le

khud-b-khud raasta de dega ye toofaan mujhe
tujh ko paane ka agar dil ye iraada kar le

aaj ka kaam tujhe aaj hi karna hoga
kal jo karna hai to phir aaj taqaza kar le

ab bade logon se achchaai ki ummeed na kar
kaise mumkin hai karela koi meetha kar le

gar kabhi rona hi pad jaaye to itna rona
aa ke barsaat tire saamne tauba kar le

muddaton ba'ad vo aayega hamaare ghar mein
phir se ai dil kisi ummeed ko zinda kar le

hum-safar leila bhi hogi main tabhi jaaunga
mujh pe jitne bhi sitam karne hon sehra kar le

काले कपड़े नहीं पहने हैं तो इतना कर ले
इक ज़रा देर को कमरे में अँधेरा कर ले

अब मुझे पार उतर जाने दे ऐसा कर ले
वर्ना जो आए समझ में तिरी दरिया कर ले

ख़ुद-ब-ख़ुद रास्ता दे देगा ये तूफ़ान मुझे
तुझ को पाने का अगर दिल ये इरादा कर ले

आज का काम तुझे आज ही करना होगा
कल जो करना है तो फिर आज तक़ाज़ा कर ले

अब बड़े लोगों से अच्छाई की उम्मीद न कर
कैसे मुमकिन है करैला कोई मीठा कर ले

गर कभी रोना ही पड़ जाए तो इतना रोना
आ के बरसात तिरे सामने तौबा कर ले

मुद्दतों बा'द वो आएगा हमारे घर में
फिर से ऐ दिल किसी उम्मीद को ज़िंदा कर ले

हम-सफ़र लैला भी होगी मैं तभी जाऊँगा
मुझ पे जितने भी सितम करने हों सहरा कर ले

- Munawwar Rana
2 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari