duniya tiri raunaq se main ab oob raha hoon | दुनिया तिरी रौनक़ से मैं अब ऊब रहा हूँ

  - Munawwar Rana

duniya tiri raunaq se main ab oob raha hoon
tu chaand mujhe kahti thi main doob raha hoon

ab koi shanaasa bhi dikhaai nahin deta
barson main isee shehar ka mehboob raha hoon

main khwaab nahin aap ki aankhon ki tarah tha
main aap ka lahja nahin usloob raha hoon

ruswaai mere naam se mansoob rahi hai
main khud kahaan ruswaai se mansoob raha hoon

sacchaai to ye hai ki tire qarya-e-dil mein
ik vo bhi zamaana tha ki main khoob raha hoon

us shehar ke patthar bhi gawaahi meri denge
sehra bhi bata dega ki majzoob raha hoon

duniya mujhe saahil se khadi dekh rahi hai
main ek jazeera ki tarah doob raha hoon

shohrat mujhe milti hai to chup-chaap khadi rah
ruswaai main tujh se bhi to mansoob raha hoon

fenk aaye the mujh ko bhi mere bhaai kuein mein
main sabr mein bhi hazrat-e-ayyoob raha hoon

दुनिया तिरी रौनक़ से मैं अब ऊब रहा हूँ
तू चाँद मुझे कहती थी मैं डूब रहा हूँ

अब कोई शनासा भी दिखाई नहीं देता
बरसों मैं इसी शहर का महबूब रहा हूँ

मैं ख़्वाब नहीं आप की आँखों की तरह था
मैं आप का लहजा नहीं उस्लूब रहा हूँ

रुस्वाई मिरे नाम से मंसूब रही है
मैं ख़ुद कहाँ रुस्वाई से मंसूब रहा हूँ

सच्चाई तो ये है कि तिरे क़र्या-ए-दिल में
इक वो भी ज़माना था कि मैं ख़ूब रहा हूँ

उस शहर के पत्थर भी गवाही मिरी देंगे
सहरा भी बता देगा कि मज्ज़ूब रहा हूँ

दुनिया मुझे साहिल से खड़ी देख रही है
मैं एक जज़ीरे की तरह डूब रहा हूँ

शोहरत मुझे मिलती है तो चुप-चाप खड़ी रह
रुस्वाई मैं तुझ से भी तो मंसूब रहा हूँ

फेंक आए थे मुझ को भी मिरे भाई कुएँ में
मैं सब्र में भी हज़रत-ए-अय्यूब रहा हूँ

  - Munawwar Rana

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari