thakan ko odh ke bistar mein ja ke late gaye
ham apni qabr-e-muqarrar mein ja ke late gaye
tamaam umr ham ik doosre se ladte rahe
magar mare to barabar mein ja ke late gaye
hamaari tishna-naseebi ka haal mat poocho
vo pyaas thi ki samundar mein ja ke late gaye
na jaane kaisi thakan thi kabhi nahin utri
chale jo ghar se to daftar mein ja ke late gaye
ye bewaqoof unhen maut se daraate hain
jo khud hi saaya-e-khanjar mein ja ke late gaye
tamaam umr jo nikle na the haveli se
vo ek gumbad-e-be-dar mein ja ke late gaye
sajaaye firte the jhooti ana jo chehron par
vo log qasr-e-sikandar mein ja ke late gaye
saza hamaari bhi kaatee hai baal-bachchon ne
ki ham udaas hue ghar mein ja ke late gaye
थकन को ओढ़ के बिस्तर में जा के लेट गए
हम अपनी क़ब्र-ए-मुक़र्रर में जा के लेट गए
तमाम उम्र हम इक दूसरे से लड़ते रहे
मगर मरे तो बराबर में जा के लेट गए
हमारी तिश्ना-नसीबी का हाल मत पूछो
वो प्यास थी कि समुंदर में जा के लेट गए
न जाने कैसी थकन थी कभी नहीं उतरी
चले जो घर से तो दफ़्तर में जा के लेट गए
ये बेवक़ूफ़ उन्हें मौत से डराते हैं
जो ख़ुद ही साया-ए-ख़ंजर में जा के लेट गए
तमाम उम्र जो निकले न थे हवेली से
वो एक गुम्बद-ए-बे-दर में जा के लेट गए
सजाए फिरते थे झूटी अना जो चेहरों पर
वो लोग क़स्र-ए-सिकंदर में जा के लेट गए
सज़ा हमारी भी काटी है बाल-बच्चों ने
कि हम उदास हुए घर में जा के लेट गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Qaid Shayari Shayari